Sunday, 4 December 2011

NAMAZ SE KISKA FAYDA HOTA HAIN???


NAMAZ padh ne se balao se hifazat ho jaati hain...
NAMAZ
se ghar mein rozi aati hain...
NAMAZ
mein Sallallahu Alaihi Wasallam ki aakho ki thandak hain...
NAMAZ
se shaitan mardood, bande se darne lagta hain...
NAMAZ
qayamat ke din maghfirat ke liye humara tab tak saath nahi chodegi jab tak hume maghfirat nahi mil jaati...
NAMAZ
se galtiya aur gunah maaf ho jaate hain...
NAMAZ
se chehre ka noor badhta hain...
NAMAZ
dil ko gulabi yane ke paakh saaf bana deti hain...
NAMAZ
hume bure kaamo se rokti hain...
NAMAZ
hume hidayat ke kabil banati hain...
NAMAZ
hum se takabbur aur kufr ko door kar deti hain...

Aur bhi bade fayde hain is NAMAZ ke jo kabhi khatm na hoge, par zara gaur karna, kya kahi bhi ALLAH ke kisi fayde ke zikr hua hain???

NAHI... WOH KITNA AZEEM HAIN, KITNA MOHABBAT KARNE WALA HAIN KE AISI CHEEZ HAME DE DI JISKE TAMAAM FAYDE BHI USKE KISI BANDE KO NAHI MALOOM...
BESHAK IS NAMAZ MEIN BANDE KA HI FAYDA CHUPA HUA HAIN, USE THODI NA ZARURAT HAIN HAMARI YA KISI BHI MAKHLOOQ KI NAMAZ KI, USKI SHAAN TO WAISI HI RAHEGI JAISI THI AUR JAISI HAIN...

2 comments:

  1. mashallah beshak allah bahut azeem hai ....allah hume hamesha uska nek banda banne ki taufeek ata farmaye AAMEEN.....allah hume hamesha kamyab kare aur allah uske har ek bande ki har wakt hifazat kare AAMEEN

    ReplyDelete